The day I had this interesting conversation with Burhan Bhai on facebook, I decided that I would put it on my blog. But it got delayed because of my laziness J as u can see I am not very keen blogger. I follow “many” blogs through google reader though (thinking about putting those blogs in my blog roll, but again laziness tells me not to 😛 ) . Anyways so this post contains a conversation where both parties “try” to converse in the traditional almost obsolete pure urdu , some also say ‘lakhnawi urdu’ . I really enjoy reading or hearing or trying to converse in this mode. So enough ranting, here it is …
“Ali : Assalam o Alaikum .. kaisay mizaaj hain aap kay .. Khuda e Buzurg o Bartar say umeed hai k theek hi hon gay 🙂 … aap say aik baat dariyaft karni thi .. k huzoor aap apnay blog posts ko as a facebook “note” kasay bant’tay (to share) hain ?? … jawab jald dijiye ga .. ain nawazish ho gi ( warna aap k kaan mai kharish ho gi 😛 )”
” Burhan : bismillah se ibtida he meri. sada khush raho ye dua hai meri
dua-o-salam k baad arz hai k iss mein mera koi kamal nahi, facebook walon ki ghalti hai. janab-e-mohtaram Mark Zuckerberg sahab ne iss option ko danista ya ghair-danista tor per New User Int…erface mein nahi dala. magar, agar puranay Notes walay interface pe aap ka ghalti se guzar ho to right side per “importing notes” k baray mein ek option cheeekh cheekh awaz de rahi hoti hai. barah-e-karam uss ki sunn lijey ga.
Aqal dung reh jati hai jab Mojuda interface k right panel mein banda “See Older Notes” ki option ko click kerta hai… k yaqa-yaq purana User Interface khul jata hai.
Agar aap ki aqal-e-saleem mein abhi bhi baat nahi pohnchi to barahey karam badam khana shuru kijey ya hamdard ki “Damaghi” istemal kijye. shukriya.
Al-Arz/Faqat
Banda-e-na-cheese
Burhan Rasool ”
“Ali: Muhtaram aur azeez-al-jaan Burhan Bhai, Assalam o alaikum
Aap ka muhabbat aur dua’on say bhara murasala mila .. to dil ko az hadd khushi hui .. mussarrat say humaray haath say to chooha(mouse) hi phisal gaya ( ya shayad paseene say :S ) . main… to khud shuru say hi is New User Interface k sakht khilaaf hoon .. Allah
Allah kar k to purana interface seekha tha . sari rayazat khaak main mila di . baqaul humaray aur aap k dost Jeem.Toye’n.Noon k “keeray parain is new interface main”
Waisay yeh aap hi ki uqaabi nazar hai jo urti chiria k parr aur New Interface k Shahi qilla Lahore ki khufia surungo’n (tunnels) jaise posheedah functions dhoond leti hai.
Aap ki nusrat aur duao’n say hum apna blog import karnay main kamayab ho gaye hain
Baqi aap k mashware par sar tasleem e kham hai . magar badam to humari jaib ki pohanch say door hain aur yeh “damaghi” humain naam say koi choti moti cheez lag rahi hai .. kia hamdard ne abhi is ka ziada pur asar version “damagh” nahi nikala ??
acha ab ijazat chahoon ga duaon main yaad rakhiye ga
faqat aap ka chota bhai
Ali Adnan
waise main pizza hut ka cheeze special bhijwa raha hoon , inshallah ab aap ko koi na-cheese nahi kahay ga
upar zikar kiye gaye alfaz “nusrat” aur “musarrat” aur “tasleem” ko lughwi ma’ano main lia jaye aur ghalat matlab na lia jaye 😛 “
akheer-haaye khooob 🙂
@Jaafer:
pasand farmanay ka shukria 🙂
Bohoot aala … bohoot aala… janab-e-wala… jaisa k hum perhene se pehle he farma chuke k… aap ke paanch rupey ho gye :p… ab perhene k baad do rupey aur ho gye… lolx
ye naik kaam jari rukhain… es se ainda aane wali nasloo ko bohot faida pohonche ga …!!! 😀
Behtareen. Yani ke is ummat ki istilah ka jo bera aap dono hazraat ne apne sar liya hai, main dil-o-jaan se dua go houn ke aap is main kaam yaab ho jayain, aur ye bhi dua kerta houn ke aanay wali naslain waqayi is nafees urdu se mustafeed houn, jo ke lagta bilkul nahi hai. 😛
@Mani:
janab pazeerai ka shukria … magar aap k paanch jamaa do yaan k mubligh saat rupae abhi tak wusool nahi huay ..barah e karam jaldi arsaal kijiye ..banday ki jaib ki haalat aaj ka naazuk hai
@Haris:
ji aap ki inhi maiyoos kun .. oh maaf kijiye ga .. mera matlab k hosla mand duaon ki badolat hi humara hosla qaim hai . go keh ummat ki haalat nagufta beh hai .. laikin hum bhi koshish jari rakhain gay ..jesa k shayar nay kaha hai
~momin ho to be tegh bhi larta hai sipahi
(waisay yeh hazrat momin to shayar thay .. yeh fauj main kab bharti huay ? :S aur fauj main recession chal rahi thi kia jo inhain hathayar naseeb na hua )