kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai
ye zindagi teri zulfo’n ki narm chao’ main guzarne paati, to !…
to shaadaab ho bhi sakti thi
ye ranj o gham ki siahi jo dil pe chai hai …..
teri nazar ki shuaon main kho bhi sakti thi
magar ye ho na saka …
magar ye ho na saka … aur ab ye aalam hai …
k tu nahi … tera gham, teri justuju bhi nahi
guzar rahi hai zindagi is tarah k jese ..
isay kisi k saharay ki aarzu hi nahi!
na koi raah … na manzil ! … na roshni ka suraagh …
bhatak rahi hai andhero main zindagi meri
Inhi andhero main reh jaun ga kabhi kho kar …
main jaata hoon meri ham nafs .. magar yunhi …
kbhi kbhi mere dil main khayal aata hai …
kabhi kabhi …
Good Ali ji, it was Amitabh ji’s b’day on 11th oct … this song has soooo much of Amitabh ji .. :
Base hain rooh mein wo, khayalon mein bhi hain shaamil …
Kehenge na unse ye hum, hon na jaayen tab talak unke kaabil !
shukria mohtarma 🙂 mujhe nahi pata tha amitabh ki bday ka .. ye to bass aaj apni playlist pe sun raha tha to socha post kar doon … aur haan waqai jis tarah amitabh ne ise parha hai shayad hi koi aur parh sakay us tarah
aur wah !! bohat aala sher hai 🙂
my fav fav poem from a movie 🙂
mine too 😀
Boht khoob, really enjoyed it man 🙂
glad to know that 🙂
AA shararti bacha ;D
main samjha to nahi k tu ne is nazm ko meri shararti nature se kaise milaya :S .. laikin phir bhi .. “guilty as charged 😀 “
Ali ji, hum janab nahi .. mohtarma hain 🙂 🙂 :p
hahaha 😀 .. waise janab “mohtarma” k liye bhi istimaal ho sakta hai … laikin aap ki khushi k liye comment edit kar dia hai 🙂
Thank u ji ! 🙂
Pingback: 2012 Blog Report « Ali's Journal