Ae Chaand Yahan Na Nikla Kar ~ Habib Jalib (اے چاند یہاں نہ نکلا کر ۔ حبیب جالب)

Standard

 

Mere humwatano’ k naam ye nazm

Habib jalib ne ye nazm bohat pehle us waqt k halaat par likhi thi … laikin almia yeh hai k aaj bhi is ki har baat sach hai 😦 … aaj bhi humari qaum aur hukmaraan aise hi hain … aur ye qaum har dafa unhi logo k haathon zaleel khwaar ho kar mulk ki bhaag dorr phir se unhi k haathon main de deti hai … election kareeb hain , aur hona is dafa bhi yehi hai keh logo ne 100-200 ruppay ki khaatir apnay zameer k sath sath , aglay 5 saalon ki zillat aur ruswai aur azaab ka sauda kar lena hai 😦

 

 

Ae chaand yahan na nikla kar

Be-naam se sapne dekha kar

Yahan ulti ganga behti hai

Is des main andhay hakim hain

Na dartay hain , na naadim hain

Na logon ke woh khaadim hain

Hai yahan pe karobar bohat

Is des main gurday biktay hain

Kuch log hain aali shaan bohat

Aur kuch ka maqsad roti hai

Woh kehte hain sab acha hai

Maghrib ka raaj hi sacha hai

Ye des hain andhay logo ka

Ae chaand yahan na nikla kar !

 

{Habib Jalib}

 

اے چاند یہاں نہ نکلا کر

بے نام سے سپنے دیکھا کر

یہاں اُلٹی گنگا بہتی ہے

اس دیس میں اندھے حاکم ہیں

نہ ڈرتے ہیں نہ نادم ہیں

نہ لوگوں کے وہ خادم ہیں

ہے یہاں پہ کاروبار بہت

اس دیس میں گردے بکتے ہیں

کچھ لوگ ہیں عالی شان بہت

اور کچھ کا مقصد روٹی ہے

وہ کہتے ہیں سب اچھا ہے

مغرب کا راج ہی سچا ہے

یہ دیس ہے اندھے لوگوں کا

اے چاند یہاں نہ نکلا کر

{حبیب جالب}


NOTE: the urdu font used is Al Qalam Nastaleeq , can be downloaded here

16 responses »

  1. dear friends
    i need this poem to be translated in English Language ;;;
    Looking forward for a prompt action please!!
    My Sincere Gratitude
    Muhammad Zahid Naeem

    • I tried to find translation online but I couldn’t find it. I myself cannot translate such great poetry. I have asked few of my friends, I will post it here if i get it .

    • O moon, don’t come out here
      Dreaming of nameless
      The reverse Ganga flows here
      There are blind rulers in this country
      They are neither afraid nor regretful
      They are not servants of the people
      There is a lot of business here
      Kidneys are sold in this country
      Some people are very noble
      And some aim for bread
      They say everything is good
      The rule of the West is true
      This is the land of blind people
      O moon, do not come out here
      {Habib Jalib}

  2. apno sy muhabbat kabi na krna a dost
    q k humari zuban sy kabi apnoun k ley bdwaa nahi nikalti
    2
    apno sy kr kye muhabbat hum chup kr routy hai
    …….gila bhi kry tu kis sy krye
    3
    ksi ka dil torny sy phely ye souch lena
    her dil mein khuda rahta hain

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s