Lab tere laal-e-naab hain dono’n
Par tamami itaab hain dono’n
Hai takalluf naqaab ve ruḳhsaar
Kia chupe’n aftab hain dono’n
Kuch na pucho ke aatish-e-gham se
Jigar-o-dil kabaab hain dono’n
Sau jagah us ki aankhen padhti hain
Jaise mast-e-sharaab hain dono’n
Paun mein wo nashaa talab ka nahin
Ab to sarmast-e-khwaab hain dono’n
Ek sab aag ek sab paani
Deeda-o-dil azaab hain dono’n
Bahs kaahe ko laal-o-marjaan se
Us ke lab hi jawaab hain dono’n
Aage dariya the deeda-e-tar ‘Mir’
Ab jo dekho saraab hain dono’n
~Mir Taqi Mir~
kamaal