kaha: takhliq e fan, bole: bahut dushvar to hogi
kaha: makhluq?, bole: bais e azaar to hogi
kaha: ham kya karen is ehd e na-pursan main kuchh kahiye
woh bole koi akhir surat e izhaar to hogi
kaha: ham apni marzi se safar bhi kar nahin sakte
woh bole har qadam par ik nai divaar to hogi
kaha: ankhen nahin is gham main binai bhi jaati hai
woh bole hijr ki shab hai zara dushvaar to hogi
kaha: jalta hai dil bole ise jalne diya jaae
andhere main kisi ko raushni darkaar to hogi
kaha: ye kucha-gardi aur kitni der tak akhir
woh bole ishq main mitti tumhari khvaar to hogi
~ Aitbaar Sajid ~