shauq barhana-pa chalta tha aur raste pathrile the
ghiste ghiste ghis gae aḳhir kankar jo nokile the
ḳhaar-e-chaman the shabnam shabnam phool bhi saare geele the
shaḳh se toot ke girne waale patte phir bhi peele the
sard havaon se to the sahil ki raet ke yarane
luu ke thapede sahne waale sahraon ke Teele the
tabinda taron ka tohfa subh ki ḳhidmat men pohncha
raat ne chaand ki nazr kiye jo taare kam chamkile the
saare sapere viranon men ghoom rahe hain been liye
abadi men rahne waale saanp bade zahreele the
tum yoon hi naraz hue ho varna mai-ḳhane ka pata
ham ne har us shaḳhs se puchha jis ke nain nashile the
kaun ghulam mohammad ‘Qasir’ bechare se karta baat
ye chalakon ki basti thi aur hazrat sharmile the
~ Ghulam Mohammad Qasir ~