Moaziz ban ke mehfil main adakaari nhi karta
Main chehre par kabhi jhooti anaa taari nhi karta
Mere dushman mere dastoor se waqif nhi shayad
Jise main dost keh doon us se ghaddaari nhi karta
Yahan behter hai apni zaat se hamdard ho jaana
Zamana gham to de sakta hai , gham-khwari nhi karta
Mujhe moqa-shanaasi ka hunar aaya nhi ab tak Mohsin
Jahan matlab nikalta ho wahan ‘samajhdaari’ nhi karta
nice
amazing