Rog aise bhi gham-e-yaar se lag jaate hain
Dar se uThte hain to deevaar se lag jaate hain
Ishq aghaz main halki si khalish rakhta hai
Baad main senkRon aazaar se lag jaate hain
Pehle pehle havas ik aadh dukaan kholti hai
Phir to bazaar ke bazaar se lag jaate hain
Bebasi bhi kabhi qurbat ka sabab banti hai
Ro na payen to gale yaar se lag jaate hain
Katranain gham ki jo galiyon main udi phirti hain
Ghar main le aao to ambaar se lag jaate hain
Daagh daaman ke hon, dil ke hon, ke chehre ke ~Faraz
Kuch nishaan umr ki raftaar se lag jaate hain
~ Ahmad Faraz ~