Tag Archives: love

Tum yunhi naraz huay (تم یُونہی ناراض ہوئے )

Standard

eyes 07

na haq naraz huay nain eyes

020416_0845_2.png

shauq barhana-pa chalta tha aur raste pathrile the
ghiste ghiste ghis gae aḳhir kankar jo nokile the

ḳhaar-e-chaman the shabnam shabnam phool bhi saare geele the
shaḳh se toot ke girne waale patte phir bhi peele the

sard havaon se to the sahil ki raet ke yarane
luu ke thapede sahne waale sahraon ke Teele the

tabinda taron ka tohfa subh ki ḳhidmat men pohncha
raat ne chaand ki nazr kiye jo taare kam chamkile the

saare sapere viranon men ghoom rahe hain been liye
abadi men rahne waale saanp bade zahreele the

tum yoon hi naraz hue ho varna mai-ḳhane ka pata
ham ne har us shaḳhs se puchha jis ke nain nashile the

kaun ghulam mohammad ‘Qasir’ bechare se karta baat
ye chalakon ki basti thi aur hazrat sharmile the

~ Ghulam Mohammad Qasir ~

kaha jalta hai dil bole ise jalne diya jaae – Aitbaar Sajid ( کہا: جلتا ہے دل، بولے: اِسے جلنے دیا جائے )

Standard

chai 2 cups of chai best 02

21-jun-18-11-32-38-am.jpg

020416_0845_2.png

kaha: takhliq e fan, bole: bahut dushvar to hogi

kaha: makhluq?, bole: bais e azaar to hogi

kaha: ham kya karen is ehd e na-pursan main kuchh kahiye

woh bole koi akhir surat e izhaar to hogi

kaha: ham apni marzi se safar bhi kar nahin sakte

woh bole har qadam par ik nai divaar to hogi

kaha: ankhen nahin is gham main binai bhi jaati hai

woh bole hijr ki shab hai zara dushvaar to hogi

kaha: jalta hai dil bole ise jalne diya jaae

andhere main kisi ko raushni darkaar to hogi

kaha: ye kucha-gardi aur kitni der tak akhir

woh bole ishq main mitti tumhari khvaar to hogi

~ Aitbaar Sajid ~

 

لب ترے لعل ناب ہیں دونوں – میرؔ (Lab Tere Laal e Naab Hain Dono – Mir)

Standard

mehndi walay haath 01

lab o rukhsar - mir

020416_0845_2.png

Lab tere laal-e-naab hain dono’n

Par tamami itaab hain dono’n

Hai takalluf naqaab ve ruḳhsaar

Kia chupe’n aftab hain dono’n

Kuch na pucho ke aatish-e-gham se

Jigar-o-dil kabaab hain dono’n

Sau jagah us ki aankhen padhti hain

Jaise mast-e-sharaab hain dono’n

Paun mein wo nashaa talab ka nahin

Ab to sarmast-e-khwaab hain dono’n

Ek sab aag ek sab paani

Deeda-o-dil azaab hain dono’n

Bahs kaahe ko laal-o-marjaan se

Us ke lab hi jawaab hain dono’n

Aage dariya the deeda-e-tar ‘Mir’

Ab jo dekho saraab hain dono’n

~Mir Taqi Mir~

Us zakhm e jaan ke naam – Aitbar Sajid (اُس زخمِ جاں کے نام)

Standard

pen

us zakhm e jaan ke naam - aitbar sajid

020416_0845_2.png

Us zakhm-e-jaan k naam, jo ab tak nahi bhara

Us zinda dil k naam, jo ab tak nahi mara

 

Un ehl-e-dil k naam, jo raahon ki dhool hain

Un hoslon k naam, jinhe dukh qabool hain

 

Us zindagi k naam, guzaara nahi jise

Us qarz-e-fann k naam, utara nahi jise

 

Un doston k naam, jo gosha nasheen hain

Un be-hisson k naam, jo baar-e-zameen hain

 

Un be dilon k naam, jo har dam malool hain

Un be bason k naam, jo gamlon k phool hain

 

Us shola rukh k naam, k roshan hai jis se raat

Hai zoofishaan andhere main, har nuqta-e-kitaab

 

Aur husn-e-bakamaal ki, ra’naiyon k naam

Aur apne zehen-o-qalb ki, tanhaiyon k naam

~ Aitbar Sajid ~

Mohabbatain baanto , nafratain na baanto

Video

Mohabbatain baanto , nafratain na baanto

Jaisa ke humaray pyaray Nabi Rehmat ul ilalameen Salalahu Alehe Wasallam ne Mohabbatain baanti.

“Nabi Salalahu Alehe Wasallam jis ne kaafiron ke sath ye hamdardi ki ke qatal karne walon ke liye dua maangi . Aur tum musalmaan ho ke aik doosre ko salaam karna chorr chukay ho .. aik doosre ke peechay namaz parhna chorr chukay ho .. aik doosre pe kufr ke fatway laga ke bethay huay ho“

A must listen and a message to all muslims no matter what maslak you belong to.