Jo Chalay To Jaan Se Guzar Gaye (جو چلے تو جاں سے گزر گئے)

Standard



 

Na ganwa’o navak-e-neemkash, dil-e-reza reza ganwa diya

jo bache hein sang sameit lo, tan-e-daagh daagh lutaa diya

 

mere chaaragar ko naveed ho, saf-e-dushmana ko khabar karo

woh jo qarz rakhtay thay jaan par wo hisaab aaj chuka diya

 

karo kaj jabeen pe sar-e-kafan, mere qaatilon ko gumaan na ho

ke ghuroor-e-ishq ka baankpan, pas-e-marg hum ne bhula diya

 

udher ek harf ki kushtni, yahan laakh uzr tha guftni

jo kaha to sun ke urda diya, jo likha to parh ke mita diya

 

jo rukay to koh-e-garan thay hum, jo chalay to jan se guzar gaye

raah-e-yaar hum ne qadam qadam, tujhe yaadgaar bana diya

 

~Faiz Ahmad Faiz~

 

Image src : Maria Yousaf Photography

12 responses »

Leave a comment