Wo bhi kia din thay ke pal main kar dia karte thay hum
Umr bhar ki chaahatain har aik harjai ke naam
Wo bhi kia mausam thay jin ki nikhato’n ke zaiqay
Likh dia karte thay khaal o khad ki ra’nai ke naam
Wo bhi sohbatain thi’n jin ki muskurahat ke fasoo’n
Waqf thay ehl e wafa ki bazm araai ke naam
Wo bhi kia shaaamain thi’n jin ki shohrate’n mansoob thi’n
Be-sabab khulay huay baalo’n ki ruswai ke naam
Ab ke wo rut hai ke har taaza qayamat ka azaab
Apne jaagtay zakhmo’n ki gehrai ke naam
Ab ke apne aansuo’n ke sabab shakista aainay
Kuch zamanay ke liye, kuch tanhai ke naam
~ Mohsin Naqvi ~