Yaadain ….

Standard

………………. I kept staring at this pic for so long …. It has invoked so many memories that I’m still swimming in them … and I think I will be like this for many more minutes …and yes the fan fight was real .. and me being the eldest exploited the authority to the fullest 🙂 

… wo bhi kia din thay … zindagi kitni saada aur pursukoon thi …. wo charpaia’n aur bistray bichana .. aur apni charpai pe kisi aur ko na letnay dena ta ke jab khud leto to bister thanda thanda ho 🙂

… garmion main khulay asmaaan talay sonay ka jo maza hai wo bass wohi jaanta hai jo soya ho …. un dino ye mobile shobile aam nhi tha .. na late night call packages na sms bundles ka jhanjat na mobile games ka alam ghalam …   raat chand ko taktay,  aur sitaaron ko gintay gintay aur hazaron idher udher ki sochain sochtay so jatay thay …. toot’tay taray bhi gintay thay ….

aur subhai’n itni noorani hoti thi … taaza saaf hawa main lambi lambi saansain lete thay …. aisa maza aata tha ke bayan nhi ho sakta …. murgho’n ki azaanai’n …aur chirrio’n ki cheh ch’hahat … suraj tulu’u honay ke waqt aasman ka jo rang hota tha  … ahhhh .. wo to bhool bhi gaya ab

… ab to raat ko sheher ki masnui roshni ki chaka chond ki wajah se sitaray bhi nazar nhi aatay …. Air Conditioned band rooms main recycled filtered thandi hawa main sansain lete hain … 10 bajay k baad uthtay hain aur sab se pehle side table pe moble check kartay hain .. aur raat ko .. haha .. kabhi yaadain satayen to aisi post likh kar so jatay hain aur aglay din wohi machinee zindagi ki dorr main lag jatay hain … fitay munh !

Advertisement

3 responses »

  1. “…and yes the fan fight was real .. and me being the eldest exploited the authority to the fullest 🙂 ”

    Yes …!!! I bear witness to that …!!! LOLX

    … aur hemesha dosre no ki chaarpaimeri hoti … phir motey ki chaarpai (our youngest bro) …. aur akhir main Ammi Ge ki ….!!!

  2. Reblogged this on andeelusman and commented:
    Mere bachpan kay din …
    Kitney achey the din …

    Aaj bethey bithaye kyun … Yaad aa gye…!!!

    Mere bichroo ko mujh se mila de koi…

    Mera BACHPAN … kisi mor laa de koi…!!!

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s